40 Paheliyaan (General Knowledge Dilchasp Maloomat)




Sawal : Aik aurat 1975 mai paida hoi aur 1975 mai hi mar gayi. jab woh mari to uski umer 22 saal thi. Kaisy ? 
is Paheli ka jwab janny k liye is post k qareeb qareeb aakhir per dekhain

Sawal : Woh jheel kis mulik mein hai jis ki satah ka pani sharbat ki terhan meetha hai magar satah ke teen foot neechay ka pani karwa hai ?

Jawab : Germany mein 

Sawal : Woh kon sa parindah hai jo apne bachon ko doodh plata hai ?

Jawab : Chamghadar .

Sawal : Woh kon sa mulik hai jahan chirya nahi payi jati hai ?

Jawab : Cheen (China)

Sawal : Woh konsa janwar hai jis se sher bhi darta hai ?

Jawab :  Porcupine (Semiya سیمیہ)
Sawal : Woh konse janwar hai jo mukhtalif rangon mein farq nahi kar satke ?

Jawab : Gidh aur Bandar .

Sawal : Is makri ka naam batayen jo 30 saal taq zindah reh sakti hai ?

Jawab : Terentola (ٹرنٹولا) Nami makri .

Sawal : Insaan ke baad duniya ki zaheen tareen makhlooq konsi hai ?

Jawab : Makri, Dolphin aur Chimpanzee Bandar .

Sawal : Bandar ke kitney dimagh hotay hain ?

Jawab : do (2)

Sawal : Woh konsa mulik hai jahan koi darya nahi hai ?

Jawab : Kuwait 

Sawal : Cheen (China) ki sarhadein kitney mulkon se millti hain ?

Jawab : 13 mulkon se

Sawal : K-2 ka dosra naam kya hai ?

Jawab: Mount Godwin Austen

Sawal : Parindon ka darjaa hararat kitna hota hai ?

Jawab : 112 darjaa fahrenheit

Sawal : Is roshni ka naam batayen jo aik shehad ki makhi to dekh sakti hai magar insaan nahi ?

Jawab : Ultraviolet ( الٹراوائلٹ )

Sawal : Is parinday ka naam bitayen jo ulta peechay ki taraf bhi urr sakta hai ?

Jawab : Humming Bird 

Sawal : Sher ke bachon ko angrezi mein kya kehte hain ?

Jawab : Cub

Sawal : More ki Marghoob gazza kia hai ?

Jawab : Saanp

Sawal : Un parindon ke naam batayen jinhein duniya mein aman ka nishaan kaha jata hai ?

Jawab : Fakhta aur Kabootarr

Sawal : Duniya mein hashrat ki kitni aqsam hain ?

Jawab : Saat Laakh (7,00,000)

Sawal : Duniya mein sab se chhootey parinday ka naam batayen ?

Jawab : Humming Bird

Sawal : Is bandar ka naam batayen jis ki jasamat aik ghulehri ke barabar hai ?

Jawab : Marmoset 

Sawal : Duniya ke sab se qadeem keeray ka naam kya hai ?

Jawab : Laal Baig

Sawal : Paaltoo janwar mein sab se zaheen janwar konsa hai ?

Jawab : Kutta (Dog) aur Ghora (Horse)

Sawal : Is keeray ka naam batayen jis ke daant is ke pait ke andar hotay hain ?

Jawab : Kaikra (Crab)

Sawal : Shehad ki makhi ki kitni ankhen hoti hain ?

Jawab : Aath (8)

Sawal : Konsa parindah sun-hwa mein khara ho sakta hai ?

Jawab : Shikra

Sawal : Is janwar ka naam batayen jis ki teen ankhen hain ?

Jawab : King kar ۤb .

Sawal : Duniya ka pehla ajooba kya hai ?

Jawab : Aehraam-e-Misar 

Sawal : Woh konsa parindah hai jo urr sakta hai magar chal nahi sakta ?

Jawab : Humming bird 

Sawal : Is parinday ka naam bataiye jo Hazrat Sulaiman (Aleh Salam) ke zamane mein aasman ki bulandi par urrtay hue zameen mein pani ki geherai, meethay ya karway honay ka batata tha ?

Jawab : Hud Hud  (ہْد ہْد)
Sawal : Woh konsa mulik hai jo saal mein do martaba azadi ki Saalgirah manaata hai ?

Jawab : Panamah pehli martaba 3 November aur doosri baar 28 Novemmber ko

Sawal : Woh konsa mulik hai jahan police nahi hoti ?

Jawab : Awaami Jamhooria Cheen (China)

Sawal : Woh konsa mulik hai jahan chawal ki fasal bonay par shadi aur katai par Talaq di jati hai ?

Jawab : Indonesia (انڈونیشیا) ke bohat saaray jazero mein fasli shadian hoti hain

Sawal : Duniya mein woh konsa shehar hai jo zirzmin aabad_he ?

Jawab : Tunisia ka shehar Matmata (تیونس کا شہر مطماطہ)

Sawal : Woh konsa qabeela hai jahan dulhay ko aik waqt mein do aurton se shadi karna zurori hai ?

Jawab : Janoobi Africa mein Meer Roonami (میر رونامی) aik qabeela hai jahan dulhay ko dulhan aur is ki behan se aik waqt mein shadi karna zurori hai

Sawal : Woh konsa darya hai jis mein aik bhi machhli nahi hai ?

Jawab : Is darya ka naam رائیووفاگری hai yeh Colombia mein hai 

Sawal : Woh konsa badshah tha jis ne apne kuttay ko aik riyasat ka wazeer Alla muqar kar diya tha ?

Jawab : Norway ke badshah Alsipsan (السپسن) ne 

Sawal : Aik aurat 1975 mai paida hoi aur 1975 mai hi mar gayi. jab woh mari to uski umer 22 saal thi. Kaisy ?

Jawab : 1975 ek room ka Number hai wo usi room mai paida hoi aur usi room mai mar gayi.

Sawal : Sab se taiz dornay walay janwar ka naam bitayen ?

Jawab : Cheeta 70 mil fi ghanta .

Sawal : Duniya ke sab se barray Asdahy (اژدہے) kahan paye jatay hain ?

Jawab : Malaysia mein

Sawal : Duniya mein hashrat ki kitni aqsam hain ?



Jawab : Saat Laakh (7,00,000)

Sawal : Aaisa konsa janwar hai jis k dant sari umer barhty rehtty hai ?



Jawab : Hathi aur Chuha

Post a Comment

2 Comments

  1. Wao kn se cheaz hai jao insan ko 2 dafa muft milti hai lkn tesri dafa kud laini parti hai

    ReplyDelete