Yeh kahani suru hoti hai ek larki jiska naam Elisabeth Fritzl hai jo ek
din achanak la pata ho gayi aur phir 24 saal bad apny hi ghar se mili.
Is
waqia k bad pori dunia mai sansani phel gayi kai swalat uthny lagy k akhir 24
sal tak agar wo apny hi ghar mai thi to kisi ko pata kiyon na chala?
Kia
wajah thi k Elisabeth Fritzl apny hi ghar walo se 24 saal tak door rahi. Aur
phir 24 sal bad kaisy sab ko pata chala ?
Elisabeth
Fritzl 16 April 1966 ko paida hoi us k baap ka naam Josef Fritzl aur maa ka naam Rosemarie tha. Elisabth ne 18 sal ki umer
mai compulsory education mukamil karny k bad
ek hotel mai waitress ka course shuru kar diya Wo apny baap k gusy se shuru
hi se buht tang thi wo apni ek azad zindagi guzarna chahti thi.. apny khawab
apni marzi se pory karna chahti thi .
Wo apni manzal k buhat
qareeb thi buht jald wo apni ek nai dunia shuru karni wali thi k 29 august 1984
ko wo achanak gaib ho gayi kisi ko kuch maloom na tha k akhir wo gayi kaha ghr
walo ne kuch maqami logo k sath mil kar usy talash kia magr wo na mili Phir waldain ne police mai
gumshudgi k report darj karwa di police ne uski talash shuru kar di police ko
shak tha k shayed Elisabath ko agwa k bad rape kia aur phir qatal kar diya gaya
hoga . police ne isi direction mai tehqiqat shuru kar di.
Kuch din bad tehqiqat ne jab zor pakra to Elisabth k ghar ek khat aya jis mai likha tha k main Elisabth ho aur apny ek
dost k sath khushal zinadgi guzar rahi ho chanachy mujhy dhondny ki koshish na ki
jaye.
Ghar walo ne foran yeh khat
police ko diya police ne investigation shuru ki to pata chala k yeh handwriting Elisabeth ki hi thi aur is se yeh sabti hoya k yeh khat Elisabeth ne hi likha tha. Magr yeh bat buht heran kun
thi k Elisabeth k kisi bhi friend ko Elisabeth k boyfriend ka pata na tha.
Chanacha police ne ye keh
kar case hamesha hamesha k liye band kar diya k Elisabeth apni marzi se ghar chor
kar gayi hai aur kisi na maloom jaga per apny kisi boyfriend k sath zindgai
guzar rahi hai.
Qareen-e-karaam ab is kahani
mai ata hai ek naya mor koi nai janta tha k Elisabeth kaha hai? us k sath kia ho
raha hai?
Elisbath apny hi ghar k teh khany
yani basement mai qaid thi aur us teh khany mai dakhil hony k 8 darwazy thy aur
har darwzy ki chabi Josaf k pass thi. Elisabeth apny hi ghar k
teh khany mai 24 sal qaid rahi yeh ek sound proof kamra tha is mai se awaz na to
bahir ja sakti thi aur na hi ander a sakti thi.
24 saal tak Elisabeth ko qaid mai rakhny wala koi aur nai uska baap
josaf tha. 24 sal tak josaf ne jo apni
beti k sath jo salook kia har ek normal insan is waqia ko sun kar heran reh jata
hai us k rongty khary ho jaty hai. Agr kisi ko meri bat per
yaqeen na aye to internet per Fritzl case search kar le sari haqeqat us k samny a jaye gi. Koi
bhi normal insan aesa soch bhi nai sakta jo salook Josaf ne apni beti Elisabeth k
sath kia josaf har 3 din baad apni beti k pass khana aur pani le k jata. Shuru
shuru mai Josaf sirf Elisabeth ko jismani tashdudad ka nishna banata raha aur
phir ahista ahista yeh bat sexual herastment tak pohanch gayi.
24
salo mai Elisabeth 7 bar hamla ho chuki thi Elisabeth ne 7 bacho ko janam dia jin
mai se ek paidaish k kuch der bad hi is dunia se chal basa 3 bachy elisbath k
sath hi us basement mai bary hoye jab k
degar ko us k ghar walo ne mil kar pala. In
24 salo mai josaf ne Elisabeth ko us basement se bahir na any diya us k bacho ne
bhi bahir ki dunia nai dekhi thi..
Josaf
ka bhanda istarah phota k Elisabeth ki betio mai se ek beti behosh ho gayi Elisabeth ne kisi bhi tarah josaf koi iski itla di aur kisi tarah mana liya k wo
usy hospital le k jaye. In
24 salo mai pehli dafa elisbath ki beti ne bahir ki dunia dekhi
Hospital
mai chekup k bad Drs ne josaf ko khabar di k choti si umer mai bachi ki kidni
fail ho gyi hai aur uski jan ko khatra hai. Drs
ne Josaf se us k asal bapa k bary mai pocha to wo ghabra gaya aur ghabrahat mai us
ne yeh keh diya k yeh usy sadak per pari mili thi.
Drs
ko shak hoya aur unho ne police ko itla de di. Kuch
hi der mai police hospital pohanch gayi aur Josaf ka beyan record kar liya
lekin police ko bhi us per yaqeen na aya police ka buhat ziyada pressure tha
josaf per aur wo buhat ghabra gaya tha kafi soch bechar k baad usne apni beti
Elisabeth aur us k bacho ko basement se azad karny ka faisla kar liya aur unhai
azad kar diya Elisabeth azad ho kar apny bacho samet jab hospital I to Drs ka
shak yaqeen mai badal gya K
yeh mamla kuch aur hai Drs ne ek bar phir police ko bula liya police ne jab
tehqiqat ki to pata chala k Josaf ek mujrim hai aur bil akhir 26 April 2008 ko
josaf jiski us waqt umer 73 bars thi pakra gya.
Pori
dunia ko pata chal gaya k josaf ek mujrim hai pori dunia heran thi k akhri baap
kaisy itni giri hoi harkat kar sakta hai international media mai yeh news buht
ziyada highlight ki gayi. Aur phir 2009 mai josaf ko umer qaid ki saza sunai gyi.
24
saal tak qaid mai rehny ki wajah se elisbath ki damaghi halat kharab ho chuki
thi kuch din hospital mai uska ilaj chala us k bad police ne usy Austria ki ek
na maloom jagah per muntaqil kar diya jaha wo ek nai shanakht k sath reh rahi hai.
Pory ilaqy mai CCTV cameras lagaye gaye hai aur police har
waqt har konay ko check karti rehti hai police har mumkin koshish kar rahi hai koi bhi media wala us k interview k liye na ja saky ta k wo dobara se apny
mazi k un ghanaouny salo ko yaad na kar saky.
0 Comments